Saturday, September 23, 2017

TERE MERE LYRICS – Chef | Armaan Malik Feat. Saif Ali Khan

Tere Mere Lyrics – Chef: An another beautiful love song by Malik brothers, composed by elder brother Amaal Mallik and sung by Armaan Malik. The song has equally beautiful lyrics, nicely put down by lyricists duo Rashmi Singh & Virag Mishra.

Singer: Armaan Malik
Music: Amaal Mallik
Lyrics: Rashmi – Virag
Film Directed by: Raja Krishna Menon
Picturised on: Saif Ali Khan, Padmapriya Janakiraman
Release date: 6 October 2017





Tere Mere Lyrics

O…

Tere mere darmiyaan hain baatein ankahi
Tu wahaan hai main yahaan
Kyun saath hum nahin (x2)

Faisley jo kiye
Faasley hi mile
Raahein judaa kyun ho gayi
Na tu ghalat, na main sahi

Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere (x2)

Le ja mujhe… (x2)

Thodi si dooriyan hain
Thodi majbooriyan hain
Lekin hai jaanta mera dil

Ho.. Ik din toh aayega
Jab tu laut aayega
Tab phir muskuraayega mera dil

Sochta hoon yahin
Baithe baithe yunhi
Raahein judaa kyun ho gayi
Na tu ghalat, na main sahi

Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere (x2)

Le ja mujhe… (x2)

Yaadon se lad raha hoon
Khud se jhaghad raha hoon
Aankhon mein neend hi nahi hai

Ho.. tujhse juda hue toh
Lagta aisa hai mujhko
Duniya meri bikhar gayi hai

Dono ka tha safar
Manzilon pe aakar
Raahein judaa kyun ho gayi
Na tu ghalat, na main sahi

Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere (x2)

Le ja mujhe… (x2)

Sunn mere Khuda bas itni si meri duaa
Lauta de humsafar mera
Jaayega kuch nahi tera
Tere hi dar pe hoon khada
Jaaun toh main jaaun main kahan
Taqdeer ko badal meri
Mujhpe hoga karam tera…